soch ki uran bhar
Nazar ki lagam kas
phir dekh!
jalway , Keef o suror ky
nafs kuchal na kuchal,
par!!!!
zamer na mara kar
warna!!!!!!
Ahsas maar jaty hyn
agar maar jaye ahsas
dard bus apny hoty hyn
Rooh ki mehfil me
kuch alag nagar ky wasy aty hyn
parwaz ki kotahi
zilat ki daldal hy bhaliye
guman ky rasty saf rukh
yaqeen ky mahal pukhta kar
chal phir kar tayari
ishq ky safar ki
waqt ki bagi, hawa ka ghora
zabt ki chagal,bhar ashku sy
ghont sabar ky
peta chal
khak ki chadar ourh ky
aablu ky joty pehny chal
rastoo ky sarab
gin
chalta ja ,chalta ja
*******************
No comments:
Post a Comment